एक
सुबह-सुबह
हँसती है घास
जागती है
ओस
या
अंबर की प्यास
दो
तिनके की नोक पर
है धरती
अशेष फणों पर
स्थित हैँ
कितनी धरतियाँ
तीन
घास
किसी बच्चे की मुस्कान-सी
खिल आती है
कहीं भी, कभी भी
किसी ऋतु की अपेक्षा के बिना
वह उपेक्षा का उपहास करती है
चार
चट्टान के सीने पर अपनी अंगुलियाँ सहलाती हुई वह बैठ जाती है उसकी गोद में
अतीत को हरा करती हुई
स्मृतियों-सी घास
पाँच
लहराती है
छू लेती है आसमान
छह
वह उग आती है
इतिहास की दीवारों पर
वर्तमान के चेहरे पर भी
भर देती है उन्मुक्त हँसी-सी
धरती की झुर्रियों में
उगी हूई लाड़ली-घास
उसके बुढ़ापे का सहारा
सबसे बड़ी
सबसे छोटी बेटी
पुराणीयुवति-सी
ek
subah subah
hansti hai ghaas
jagti hai
os
ya
ambar ki pyaas
do
tinke ki nok par
hai dharti
ashesh phanon par
sthit hain
kitni dhartiyan
teen
ghaas
kisi bachche ki muskan si
khil aati hai
kahin bhi,kabhi bhi
kisi ritu ki apeksha ke bina
wo upeksha ka uphaas karti hai
chaar
chattan ke sine par apni anguliyan sahlati hui wo baith jati hai uski god men
atit ko hara karti hui
smritiyon si ghaas
paanch
lahrati hai
chhu leti hai asman
asman chhuta hai
uske paanv
chhah
wo ug aati hai
itihas ki divaron par
vartaman ke chehre par bhi
bhar deti hai unmukt hansi si
dharti ki jhurriyon men
ugi hui laDli ghaas
uske buDhape ka sahara
sabse baDi
sabse chhoti beti
puraniyuvati si
ek
subah subah
hansti hai ghaas
jagti hai
os
ya
ambar ki pyaas
do
tinke ki nok par
hai dharti
ashesh phanon par
sthit hain
kitni dhartiyan
teen
ghaas
kisi bachche ki muskan si
khil aati hai
kahin bhi,kabhi bhi
kisi ritu ki apeksha ke bina
wo upeksha ka uphaas karti hai
chaar
chattan ke sine par apni anguliyan sahlati hui wo baith jati hai uski god men
atit ko hara karti hui
smritiyon si ghaas
paanch
lahrati hai
chhu leti hai asman
asman chhuta hai
uske paanv
chhah
wo ug aati hai
itihas ki divaron par
vartaman ke chehre par bhi
bhar deti hai unmukt hansi si
dharti ki jhurriyon men
ugi hui laDli ghaas
uske buDhape ka sahara
sabse baDi
sabse chhoti beti
puraniyuvati si
स्रोत :
रचनाकार : नितेश व्यास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.