चोर का गमछा
छूट गया
जहाँ से बक्सा उठाया था उसने,
वहीं—एक चौकोर शून्य के पास
गेंडुरियाया-सा पड़ा चोर का गमछा
जो उसके मुँह ढँकने के आता काम
कि असूर्यम्पश्या वधुएँ जब, उचित ही,
गुम हो गई हैं इतिहास में
चोरों ने बमुश्किल बचा रखी है मर्यादा
अपनी ताड़ती निगाह नीची किए
देखते, आँखों को मैलानेवाले
उस गर्दख़ोर अँगोछे में
गंध है उसके जिस्म की
जिसे सूँघ
पुलिस के सुँघनिया कुत्ते
शायद उसे ढूँढ़ निकालें
दसियों की भीड़ में
हमें तो
उसमें बस एक कामगार के पसीने की गंध मिलती है
खटमिट्ठी
हम तो उसे सूँघ
केवल एक भूख को
बेसँभाल भूख को
ढूँढ़ निकाल सकते हैं
दसियों की भीड़ में
chor ka gamchha
chhoot gaya
jahan se baksa uthaya tha usne,
wahin—ek chaukor shunya ke pas
genDuriyaya sa paDa chor ka gamchha
jo uske munh Dhankane ke aata kaam
ki asuryampashya wadhuen jab, uchit hi,
gum ho gai hain itihas mein
choron ne bamushkil bacha rakhi hai maryada
apni taDti nigah nichi kiye
dekhte, ankhon ko mailanewale
us gardkhor angochhe mein
gandh hai uske jism ki
jise soongh
police ke sunghniya kutte
shayad use DhoonDh nikalen
dasiyon ki bheeD mein
hamein to
usmen bus ek kamgar ke pasine ki gandh milti hai
khatmitthi
hum to use soongh
kewal ek bhookh ko
besnbhal bhookh ko
DhoonDh nikal sakte hain
dasiyon ki bheeD mein
chor ka gamchha
chhoot gaya
jahan se baksa uthaya tha usne,
wahin—ek chaukor shunya ke pas
genDuriyaya sa paDa chor ka gamchha
jo uske munh Dhankane ke aata kaam
ki asuryampashya wadhuen jab, uchit hi,
gum ho gai hain itihas mein
choron ne bamushkil bacha rakhi hai maryada
apni taDti nigah nichi kiye
dekhte, ankhon ko mailanewale
us gardkhor angochhe mein
gandh hai uske jism ki
jise soongh
police ke sunghniya kutte
shayad use DhoonDh nikalen
dasiyon ki bheeD mein
hamein to
usmen bus ek kamgar ke pasine ki gandh milti hai
khatmitthi
hum to use soongh
kewal ek bhookh ko
besnbhal bhookh ko
DhoonDh nikal sakte hain
dasiyon ki bheeD mein
स्रोत :
पुस्तक : संशयात्मा (पृष्ठ 194)
रचनाकार : ज्ञानेंद्रपति
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.