मैं दिल्ली में मार्च देख रही हूँ
शरद और ग्रीष्म ऋतु का मिलन
हवाओं में हल्की ठंडक के साथ
किसी के होने की गरमाहट भी है
बोगनवेलिया खिला हुआ है
चारों तरफ़ फैले हैं उसी के रंग
हर जगह बिखरे पड़े हैं
सेमल और पलाश के फूल
समेटे जाने के लिए
और अपने आप में अधूरी है
उनकी गरमाहट और ठंडक
मैं अपने कमरे में बैठी
सोच रही हूँ
इस अधूरेपन के बारे में
सोच रही हूँ कि
खिलकर भी
पूर्णता का अभाव बना ही रहता है
क्योंकि खिलना आख़िरी सीढ़ी नहीं है
ये पहला क़दम है
पतझड़ की ओर
तुमसे मिलना
पतझड़ से पूर्व आए
बोगनवेलिया, सेमल और पलाश के
फूलों का रंग है
जो तुम्हारे जाने के बाद
पतझड़ बन
कई संभावनाओं का आधार भी बन जाता है
जो किसी भी रूप में
मेरे सामने आ सकता है
main dilli mein march dekh rahi hoon
sharad aur greeshm ritu ka milan
havaon mein halki thanDak ke saath
kisi ke hone ki garmahat bhi hai
boganveliya khila hua hai
charon taraf phaile hain usi ke rang
har jagah bikhre paDe hain
semal aur palash ke phool
samete jane ke liye
aur apne aap mein adhuri hai
unki garmahat aur thanDak
main apne kamre mein baithi
soch rahi hoon
is adhurepan ke bare men
soch rahi hoon ki
khilkar bhi
purnta ka abhav bana hi rahta hai
kyonki khilna akhiri siDhi nahin hai
ye pahla qadam hai
patjhaD ki or
tumse milna
patjhaD se poorv aaye
boganveliya, semal aur palash ke
phulon ka rang hai
jo tumhare jane ke baad
patjhaD ban
kai sambhavnaon ka adhar bhi ban jata hai
jo kisi bhi roop men
mere samne aa sakta hai
main dilli mein march dekh rahi hoon
sharad aur greeshm ritu ka milan
havaon mein halki thanDak ke saath
kisi ke hone ki garmahat bhi hai
boganveliya khila hua hai
charon taraf phaile hain usi ke rang
har jagah bikhre paDe hain
semal aur palash ke phool
samete jane ke liye
aur apne aap mein adhuri hai
unki garmahat aur thanDak
main apne kamre mein baithi
soch rahi hoon
is adhurepan ke bare men
soch rahi hoon ki
khilkar bhi
purnta ka abhav bana hi rahta hai
kyonki khilna akhiri siDhi nahin hai
ye pahla qadam hai
patjhaD ki or
tumse milna
patjhaD se poorv aaye
boganveliya, semal aur palash ke
phulon ka rang hai
jo tumhare jane ke baad
patjhaD ban
kai sambhavnaon ka adhar bhi ban jata hai
jo kisi bhi roop men
mere samne aa sakta hai
स्रोत :
रचनाकार : मानसी गोस्वामी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.