एक छोटी-सी नदी है
जिसमें स्नान कर लेता हूँ
और जल भी उसी का पीता हूँ
जब प्यास लगती है।
किंतु बदले में उसने कभी कुछ नहीं माँगा।
उसी के किनारे
एक छोटा-सा गाँव है
जंगल की पीठ पर छलाँग
लगाते जा रहे ख़रगोश की तरह।
जहाँ पैदा हुआ,
बढ़ा,
और अब बच्चे मुझे दादा कहने लगे हैं—
उसका सूर्योदय देखने के लिए तरसता रहता हूँ,
कहीं और होता हूँ जब।
और एक छोटा-सा आँगन है
जहाँ एक छोटी-सी ही थाली में
सूर्यग्रहण देखा था एक दिन,
फिर चाँद और तारों को भी देखा हिलते जल में—
कितना अद्भुत था दृश्य वह!
कभी यह शिकायत नहीं की उसने
कि ऊपर आसमान तंग है।
वही आसमान
आज तंग पड़ने लगा है
आँगन कई-कई टुकड़ों में बँटा हुआ है
और दिन-पर-दिन
रेत में समाती जा रही है नदी भी।
ek chhoti si nadi hai
jismen snan kar leta hoon
aur jal bhi usi ka pita hoon
jab pyas lagti hai
kintu badle mein usne kabhi kuch nahin manga
usi ke kinare
ek chhota sa ganw hai
jangal ki peeth par chhalang
lagate ja rahe khargosh ki tarah
jahan paida hua,
baDha,
aur ab bachche mujhe dada kahne lage hain—
uska suryoday dekhne ke liye tarasta rahta hoon,
kahin aur hota hoon jab
aur ek chhota sa angan hai
jahan ek chhoti si hi thali mein
suryagrahn dekha tha ek din,
phir chand aur taron ko bhi dekha hilte jal mein—
kitna adbhut tha drishya wah!
kabhi ye shikayat nahin ki usne
ki upar asman tang hai
wahi asman
aj tang paDne laga hai
angan kai kai tukDon mein banta hua hai
aur din par din
ret mein samati ja rahi hai nadi bhi
ek chhoti si nadi hai
jismen snan kar leta hoon
aur jal bhi usi ka pita hoon
jab pyas lagti hai
kintu badle mein usne kabhi kuch nahin manga
usi ke kinare
ek chhota sa ganw hai
jangal ki peeth par chhalang
lagate ja rahe khargosh ki tarah
jahan paida hua,
baDha,
aur ab bachche mujhe dada kahne lage hain—
uska suryoday dekhne ke liye tarasta rahta hoon,
kahin aur hota hoon jab
aur ek chhota sa angan hai
jahan ek chhoti si hi thali mein
suryagrahn dekha tha ek din,
phir chand aur taron ko bhi dekha hilte jal mein—
kitna adbhut tha drishya wah!
kabhi ye shikayat nahin ki usne
ki upar asman tang hai
wahi asman
aj tang paDne laga hai
angan kai kai tukDon mein banta hua hai
aur din par din
ret mein samati ja rahi hai nadi bhi
स्रोत :
पुस्तक : कविता सदी (पृष्ठ 367)
संपादक : सुरेश सलिल
रचनाकार : कुमारेन्द्र पारसनाथ सिंह
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.