भविष्य उठता है समुद्र से,
भोर लेती है जन्म लहरों से
चीख़ हवा से, गीत तूफ़ान से,
पंख समुद्र, उड़ान प्रकाश
आँखें नीली अग्नि।
लहरों पर जलता पक्षी,
सुबह का हृदय रात की सीमांत पर,
काले के साथ सफ़ेद पंख,
दिन करता है संघर्ष अंधकार के साथ,
रात के साथ इंद्रधनुषी सूर्योदय।
अग्नि उठान, उड़ती हवा,
तूफ़ान पंखों की सरसराहट,
समुद्र आँखें, आलोक गीत,
चिंगारी-पक्षी, विद्रोही-पक्षी,
उड़ता है पेड़ों के क्षितिज तक,
उड़ते हुए खोलता है हवाओं के रास्ते,
ढोता है तूफ़ान जाते-जाते।
भविष्य समुद्र से उठ रहा है,
भोर-पक्षी लहरों से,
मिट्टी से जलता पक्षी,
अग्नि-पक्षी राख के नीचे से,
अग्नि-पंख, तूफ़ान-आँख,
विगत सपने पंख।
bhavishya uthta hai samudr se,
bhor leti hai janm lahron se
cheekh hava se, geet tufan se,
pankh samudr, uDaan parkash
ankhen nili agni.
lahron par jalta pakshi,
subah ka hriday raat ki simant par,
kale ke saath safed pankh,
din karta hai sangharsh andhakar ke saath,
raat ke saath indradhanushi suryoday.
agni uthaan, uDti hava,
tufan pankhon ki sarsarahat,
samudr ankhen, aalok geet,
chingari pakshi, vidrohi pakshi,
uDta hai peDon ke kshitij tak,
uDte hue kholta hai havaon ke raste,
Dhota hai tufan jate jate.
bhavishya samudr se uth raha hai,
bhor pakshi lahron se,
mitti se jalta pakshi,
agni pakshi raakh ke niche se,
agni pankh, tufan ankh,
vigat sapne pankh.
bhavishya uthta hai samudr se,
bhor leti hai janm lahron se
cheekh hava se, geet tufan se,
pankh samudr, uDaan parkash
ankhen nili agni.
lahron par jalta pakshi,
subah ka hriday raat ki simant par,
kale ke saath safed pankh,
din karta hai sangharsh andhakar ke saath,
raat ke saath indradhanushi suryoday.
agni uthaan, uDti hava,
tufan pankhon ki sarsarahat,
samudr ankhen, aalok geet,
chingari pakshi, vidrohi pakshi,
uDta hai peDon ke kshitij tak,
uDte hue kholta hai havaon ke raste,
Dhota hai tufan jate jate.
bhavishya samudr se uth raha hai,
bhor pakshi lahron se,
mitti se jalta pakshi,
agni pakshi raakh ke niche se,
agni pankh, tufan ankh,
vigat sapne pankh.
स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 208)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : माक्ती रोस्सी
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.