तुम जो अभी-अभी
खोल रही हो आँख
इस चौंधियाए हुए संसार में
तुमसे बस इतना कहना है—
कि अब
कभी न बंद करना आँख
खोले रहना
सोते हुए
कुछ पाते हुए भी
कुछ खोते हुए भी
तब भी खोले रहना
जब करना प्रेम
और तब भी
जब सब एक तरफ़ से
कह रहे हों
दिल से सोचकर देखो
तुम अड़ी रहना इस बात पर
कि देखना
तो बस आँख से होता है।
तुम देखना सुंदर भी,
अ-सुंदर भी
पुण्य भी, पाप भी
हिंसा भी और अहिंसा भी
बस घबराना नहीं
जब कोई तुम्हारे देखने के विरोध में
तुम्हें देर तक
किसी शत्रु की तरह देखे
तब तुम भी उतनी ही शत्रुता
और घृणा से देखना
पुण्य देखते हुए मुस्कुराना,
पाप देखते हुए चढ़ जाना पाप की छाती पर
किसी देवी की तरह छाती को चीरने
देखना
कभी ख़ुशी और मुस्कान के साथ
कभी पूरी ताक़त के साथ
देखना सबको
देखना सब कुछ
और
जब कभी ज़रूरत पड़े
देख लेना सबको…
tum jo abhi abhi
khol rahi ho ankh
is chaundhiyaye hue sansar men
tumse bas itna kahna hai—
ki ab
kabhi na band karna ankh
khole rahna
sote hue
kuch pate hue bhi
kuch khote hue bhi
tab bhi khole rahna
jab karna prem
aur tab bhi
jab sab ek taraf se
kah rahe hon
dil se sochkar dekho
tum aDi rahna is baat par
ki dekhana
to bas ankh se hota hai.
tum dekhana sundar bhi,
a sundar bhi
punya bhi, paap bhi
hinsa bhi aur ahinsa bhi
bas ghabrana nahin
jab koi tumhare dekhne ke virodh men
tumhein der tak
kisi shatru ki tarah dekhe
tab tum bhi utni hi shatruta
aur ghrina se dekhana
punya dekhte hue muskurana,
paap dekhte hue chaDh jana paap ki chhati par
kisi devi ki tarah chhati ko chirne
dekhana
kabhi khushi aur muskan ke saath
kabhi puri taqat ke saath
dekhana sabko
dekhana sab kuch
aur
jab kabhi zarurat paDe
dekh lena sabko…
tum jo abhi abhi
khol rahi ho ankh
is chaundhiyaye hue sansar men
tumse bas itna kahna hai—
ki ab
kabhi na band karna ankh
khole rahna
sote hue
kuch pate hue bhi
kuch khote hue bhi
tab bhi khole rahna
jab karna prem
aur tab bhi
jab sab ek taraf se
kah rahe hon
dil se sochkar dekho
tum aDi rahna is baat par
ki dekhana
to bas ankh se hota hai.
tum dekhana sundar bhi,
a sundar bhi
punya bhi, paap bhi
hinsa bhi aur ahinsa bhi
bas ghabrana nahin
jab koi tumhare dekhne ke virodh men
tumhein der tak
kisi shatru ki tarah dekhe
tab tum bhi utni hi shatruta
aur ghrina se dekhana
punya dekhte hue muskurana,
paap dekhte hue chaDh jana paap ki chhati par
kisi devi ki tarah chhati ko chirne
dekhana
kabhi khushi aur muskan ke saath
kabhi puri taqat ke saath
dekhana sabko
dekhana sab kuch
aur
jab kabhi zarurat paDe
dekh lena sabko…
स्रोत :
रचनाकार : आशुतोष प्रसिद्ध
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.