गिरजे की दीवार पर
किसी ने अपनी मृत्यु माँगी है
और ठीक उसके पास ही
कोई दुनिया जीतने की इच्छा
लिख रहा है
और तीसरा मैं—
एक्वारियम पर रखा बाइबिल
देख रहा हूँ
छोटी-छोटी रंगीन मछलियाँ
सोन मछलियाँ
क्या मैं उनकी मृत्यु माँगूँ तो कुछ ग़लत होगा?
पर मैं किससे माँगूँ
जीवन-मृत्यु के बीच मैं
ऊपर ताकती तो हूँ
पर कुछ कह नहीं पाती
मछलियाँ मूक हैं
कुछ नहीं कहती
मेरे पास आवाज़ है
मैं कुछ नहीं कहती
और मेरा मूक होना मुझे
मृत बताता है
मृत—
जो शायद नरक से झाँक रहा है
दूसरे नरक में
girje ki divar par
kisi ne apni mrityu mangi hai
aur theek uske paas hi
koi duniya jitne ki ichchha
likh raha hai
aur tisra main—
ekvariyam par rakha baibal
dekh raha hoon
chhoti chhoti rangin machhliyan
son machhliyan
kya main unki mrityu mangu to kuch ghalat hoga?
par main kisse mangu
jivan mrityu ke beech main
upar takti to hoon
par kuch kah nahin pati
machhliyan mook hai
kuch nahin kahti
mere paas avaz hai
main kuch nahin kahti
aur mera mook hona mujhe
mrit batata hai
mrit—
jo shayad nark se jhaank raha hai
dusre nark mein
girje ki divar par
kisi ne apni mrityu mangi hai
aur theek uske paas hi
koi duniya jitne ki ichchha
likh raha hai
aur tisra main—
ekvariyam par rakha baibal
dekh raha hoon
chhoti chhoti rangin machhliyan
son machhliyan
kya main unki mrityu mangu to kuch ghalat hoga?
par main kisse mangu
jivan mrityu ke beech main
upar takti to hoon
par kuch kah nahin pati
machhliyan mook hai
kuch nahin kahti
mere paas avaz hai
main kuch nahin kahti
aur mera mook hona mujhe
mrit batata hai
mrit—
jo shayad nark se jhaank raha hai
dusre nark mein
स्रोत :
रचनाकार : उमा भगत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.