शहर जाने के लिए
गाँव छोड़ा था मैंने
अब गाँव लौटने के लिए
शहर छोड़ना चाहता हूँ मैं।
थक गया हूँ
इस धोखे की दुनिया से
भागमभाग नहीं
एक पल सुकूँ का चाहता हूँ मैं।
माना कभी हठ थी मेरी
लेकिन अए शहर!
अब रुकने की ज़िद न कर
यहाँ से भाग जाना चाहता हूँ मैं।
मंज़िलों वाली, चकाचौंध
ऊँचाइयों को छूने की कोशिश में
सूनी दीवारों को चुना था मैंने
उस मकान को बेचना चाहता हूँ मैं।
पुरखों की माटी और
आँगन में पालथी मार
दो वक्त की रोटी
अपनों के साथ तोड़ना चाहता हूँ मैं।
कुछ ज़्यादा की तलाश में
ग़रीबी को छोड़ा था मैंने
एक बार अमीरी को
फिर से जीना चाहता हूँ मैं।
गाँव की ज़मीन पर
हौसलों को ऊँची उड़ान
सपनों को सँवारने का मौक़ा
एक मालिक बनना चाहता हूँ मैं।
shahr jane ke liye
gaanv chhoDa tha mainne
ab gaanv lautne ke liye
shahr chhoDna chahta hoon main.
thak gaya hoon
is dhokhe ki duniya se
bhagambhag nahin
ek pal sukun ka chahta hoon main.
mana kabhi hath thi meri
lekin ae shahr!
ab rukne ki zid na kar
yahan se bhaag jana chahta hoon main.
manzilon vali, chakachaundh
uunchaiyon ko chhune ki koshish men
suni divaron ko chuna tha mainne
us makan ko bechna chahta hoon main.
purkhon ki mati aur
angan mein palathi maar
do vakt ki roti
apnon ke saath toDna chahta hoon main.
kuch zyada ki talash men
gharibi ko chhoDa tha mainne
ek baar amiri ko
phir se jina chahta hoon main.
gaanv ki zamin par
hauslon ko uunchi uDaan
sapnon ko sanvarne ka mauqa,
ek malik banna chahta hoon main.
shahr jane ke liye
gaanv chhoDa tha mainne
ab gaanv lautne ke liye
shahr chhoDna chahta hoon main.
thak gaya hoon
is dhokhe ki duniya se
bhagambhag nahin
ek pal sukun ka chahta hoon main.
mana kabhi hath thi meri
lekin ae shahr!
ab rukne ki zid na kar
yahan se bhaag jana chahta hoon main.
manzilon vali, chakachaundh
uunchaiyon ko chhune ki koshish men
suni divaron ko chuna tha mainne
us makan ko bechna chahta hoon main.
purkhon ki mati aur
angan mein palathi maar
do vakt ki roti
apnon ke saath toDna chahta hoon main.
kuch zyada ki talash men
gharibi ko chhoDa tha mainne
ek baar amiri ko
phir se jina chahta hoon main.
gaanv ki zamin par
hauslon ko uunchi uDaan
sapnon ko sanvarne ka mauqa,
ek malik banna chahta hoon main.
स्रोत :
रचनाकार : एंजेला एनिमा तिर्की
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.