आजकल
मुझ पर सच बोलने का
जनून सवार हो गया है
तभी पत्नी को सुनाता हूँ
प्रेमिका की बातें
यहाँ तक कि
मित्रों को भी
यह कहते हुए
दुविधा में डाल देता हूँ
कि व्यभिचारी है उनकी आत्मा
जिसे वे छिपाते फिरते हैं
भाषा और लिबास के बीच
सच बोलना
जैसे अपने रक्त में उपस्थित
लौह कणों से निर्मित करना
एक तेज़ नुकीली पिन
और उसे फिर
अपने साथ रखना
आत्मा की निगरानी में
एक हथियार की तरह
मुझे इस हथियार के लिए
न लाइसेंस की आवश्यकता है
न धर्मगुरुओं से उनकी सहमति
इस दुनिया में
जहाँ हर कोई
अपना ग़ुब्बारा फुलाने की
प्रतिस्पर्धा में व्यस्त है
मैं चाहता हूँ
होना
एक छोटी-सी पिन।
ajkal
mujh par sach bolne ka
janun savar ho gaya hai
tabhi patni ko sunata hoon
premika ki baten
yahan tak ki
mitron ko bhi
ye kahte hue
duvidha mein Daal deta hoon
ki vyabhichari hai unki aatma
jise ve chhipate phirte hain
bhasha aur libas ke beech
sach bolna
jaise apne rakt mein upasthit
lauh kanon se nirmit karna
ek tez nukili pin
aur use phir
apne saath rakhna
aatma ki nigrani mein
ek hathiyar ki tarah
mujhe is hathiyar ke liye
na laisens ki avashyakta hai
na dharmaguruon se unki sahamti
is duniya mein
jahan har koi
apna ghubbara phulane ki
pratispardha mein vyast hai
main chahta hoon
hona
ek chhoti si pin.
ajkal
mujh par sach bolne ka
janun savar ho gaya hai
tabhi patni ko sunata hoon
premika ki baten
yahan tak ki
mitron ko bhi
ye kahte hue
duvidha mein Daal deta hoon
ki vyabhichari hai unki aatma
jise ve chhipate phirte hain
bhasha aur libas ke beech
sach bolna
jaise apne rakt mein upasthit
lauh kanon se nirmit karna
ek tez nukili pin
aur use phir
apne saath rakhna
aatma ki nigrani mein
ek hathiyar ki tarah
mujhe is hathiyar ke liye
na laisens ki avashyakta hai
na dharmaguruon se unki sahamti
is duniya mein
jahan har koi
apna ghubbara phulane ki
pratispardha mein vyast hai
main chahta hoon
hona
ek chhoti si pin.
स्रोत :
रचनाकार : महाराज कृष्ण संतोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.