दरवाज़ों
खिड़कियों में
लटक गए हैं पर्दे
मेज़ में नया मेज़पोश
कुर्सियों में गद्दियाँ
तरतीब से सज गई हैं
मेज़-कुर्सियाँ
बदला जा रहा है
चादर
हो चुका था जो बदरंग।
रज़ाई-गद्दों के खोल
रंग गए हैं नील से
रसोई घर तो
पहचाना नहीं जा रहा है
नई दुल्हन की तरह
वहाँ हर चीज़ के लिए
नियत हो चुका है स्थान
बोयामों में
बंद हो चुकी है—
चीना, नमक, दाल, चायपत्ती आदि-आदि।
करछुल और चम्मचें
खड़ी हैं स्टैंड में।
चाकू सब्ज़ी की टोकरी में
जा चुकी है
कूकर में लगे पुराने दाग
निकाले जा रहे हैं।
मकान
बदल गया है घर में।
मन
बार-बार लौट आता है
घर की ओर
पृथ्वी का बल
पैदा हो गया है घर में
जिसका केंद्र है
औरत
पृथ्वी में
एक और पृथ्वी है
औरत।
darwazon
khiDakiyon mein
latak gaye hain parde
mez mein naya mezposh
kursiyon mein gaddiyan
tartib se saj gai hain
mez kursiyan
badla ja raha hai
chadar
ho chuka tha jo badrang
razai gaddon ke khol
rang gaye hain neel se
rasoi ghar to
pahchana nahin ja raha hai
nai dulhan ki tarah
wahan har cheez ke liye
niyat ho chuka hai sthan
boyamon mein
band ho chuki hai—
china, namak, dal, chaypatti aadi aadi
karchhul aur chammchen
khaDi hain stainD mein
chaku sabzi ki tokari mein
ja chuki hai
kukar mein lage purane dag
nikale ja rahe hain
makan
badal gaya hai ghar mein
man
bar bar laut aata hai
ghar ki or
prithwi ka bal
paida ho gaya hai ghar mein
jiska kendr hai
aurat
prithwi mein
ek aur prithwi hai
aurat
darwazon
khiDakiyon mein
latak gaye hain parde
mez mein naya mezposh
kursiyon mein gaddiyan
tartib se saj gai hain
mez kursiyan
badla ja raha hai
chadar
ho chuka tha jo badrang
razai gaddon ke khol
rang gaye hain neel se
rasoi ghar to
pahchana nahin ja raha hai
nai dulhan ki tarah
wahan har cheez ke liye
niyat ho chuka hai sthan
boyamon mein
band ho chuki hai—
china, namak, dal, chaypatti aadi aadi
karchhul aur chammchen
khaDi hain stainD mein
chaku sabzi ki tokari mein
ja chuki hai
kukar mein lage purane dag
nikale ja rahe hain
makan
badal gaya hai ghar mein
man
bar bar laut aata hai
ghar ki or
prithwi ka bal
paida ho gaya hai ghar mein
jiska kendr hai
aurat
prithwi mein
ek aur prithwi hai
aurat
स्रोत :
रचनाकार : महेश चंद्र पुनेठा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.