सवाल नहीं कोई
उठता हो ज़हन में,
क़ैदी नहीं मन हो
धोखे के वहम में,
ज़िंदा मुझे चलना
एक ऐसी सुबह हो।
न हो चुभन डर की
उगते विचारों में,
खिल के वो फूले
आज़ाद-सी डाली में,
पंछी-सा है उड़ना
एक ऐसी सुबह हो।
परछाई कोई बुद्जिल
साहस पे ना छाए,
फौलादी इरादे
दीमक न मिटाए,
अंजान से रास्तों पर
मंज़िल मुझे मिल जाए
एक ऐसी सुबह हो।
सूरत हो जो जैसी
घर और गली में,
मिल जाए वही सीरत
जो देखी थी सही में,
अपनो की भीड़ में
तन्हा नहीं रहना
एक ऐसी सुबह हो।
ऊँची इमारत के
पीछे की सड़क में,
ऊँची इमारत हो
हर एक शहर में,
खिड़की से मैं देखूँ
एक ही से मकान हों
नीचा नहीं कोई
एक ऐसी सुबह हो।
saval nahin koi
uthta ho zahan mein,
qaidi nahin man ho
dhokhe ke vahm mein,
zinda mujhe chalna
ek aisi subah ho.
na ho chubhan Dar ki
ugte vicharon mein,
khil ke wo phule
azad si Dali mein,
panchhi sa hai uDna
ek aisi subah ho.
parchhai koi budjil
sahas pe na chhaye,
phauladi irade
dimak na mitaye,
anjan se raston par
manzil mujhe mil jaye
ek aisi subah ho.
surat ho jo jaisi
ghar aur gali mein,
mil jaye vahi sirat
jo dekhi thi sahi mein,
apno ki bheeD men
tanha nahin rahna
ek aisi subah ho.
uunchi imarat ke
pichhe ki saDak mein,
uunchi imarat ho
har ek shahr mein,
khiDki se main dekhun
ek hi se maqan hon
nicha nahin koi
ek aisi subah ho.
saval nahin koi
uthta ho zahan mein,
qaidi nahin man ho
dhokhe ke vahm mein,
zinda mujhe chalna
ek aisi subah ho.
na ho chubhan Dar ki
ugte vicharon mein,
khil ke wo phule
azad si Dali mein,
panchhi sa hai uDna
ek aisi subah ho.
parchhai koi budjil
sahas pe na chhaye,
phauladi irade
dimak na mitaye,
anjan se raston par
manzil mujhe mil jaye
ek aisi subah ho.
surat ho jo jaisi
ghar aur gali mein,
mil jaye vahi sirat
jo dekhi thi sahi mein,
apno ki bheeD men
tanha nahin rahna
ek aisi subah ho.
uunchi imarat ke
pichhe ki saDak mein,
uunchi imarat ho
har ek shahr mein,
khiDki se main dekhun
ek hi se maqan hon
nicha nahin koi
ek aisi subah ho.
स्रोत :
रचनाकार : सारिका सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.