(उत्तराखंड आंदोलन के दौरान)
दीदियो और भुलियो! तुम जब भी याद
आती हो जैसे उकालों पर चढ़ती हुई
हरा-भर रंग उड़ाते पाखों पर
सुनाई पड़ती है तुम्हारी साँसों
अँधेरी सुबहों को तुम निकल पड़ती हो
घास के लिए
जागने पर हमें दिखाई पड़ता
उजाला चोटियों पर
तुम्हारे पास भाषा सुरक्षित है
तुम्हारे पास आवाज़ सुरक्षित है
तुम्हारे पास जब हम आते हैं
दूर मैदानों से
धीरे-धीरे
खुलने लगते है पहाड़
फिर लग गया है पहाड़ों में बाघ
कितना बाद खदेड़ा है तुमने बाघ को,
जिन्हें सत्ता की भूख ने ख़ूनी बना दिया है
वे तुम्हारी आवाज़ से पस्त होते हैं।
(uttrakhanD andolan ke dauran)
didiyon aur bhuliyon! tum jab bhi yaad
aati ho jaise ukalon par chaDhti hui
hara bhar rang uDate pakhon par
sunai paDti hai tumhari sanson
andheri subhon ko tum nikal paDti ho
ghaas ke liye
jagne par hamein dikhai paDta
ujala chotiyon par
tumhare paas bhasha surakshit hai
tumhare paas avaz surakshit hai
tumhare paas jab hum aate hain
door maidanon se
dhire dhire
khulne lagte hai pahaD
phir lag gaya hai pahaDon mein baagh
kitna baad khadeDa hai tumne baagh ko,
jinhen satta ki bhookh ne khuni bana diya hai
ve tumhari avaz se past hote hain.
(uttrakhanD andolan ke dauran)
didiyon aur bhuliyon! tum jab bhi yaad
aati ho jaise ukalon par chaDhti hui
hara bhar rang uDate pakhon par
sunai paDti hai tumhari sanson
andheri subhon ko tum nikal paDti ho
ghaas ke liye
jagne par hamein dikhai paDta
ujala chotiyon par
tumhare paas bhasha surakshit hai
tumhare paas avaz surakshit hai
tumhare paas jab hum aate hain
door maidanon se
dhire dhire
khulne lagte hai pahaD
phir lag gaya hai pahaDon mein baagh
kitna baad khadeDa hai tumne baagh ko,
jinhen satta ki bhookh ne khuni bana diya hai
ve tumhari avaz se past hote hain.
स्रोत :
पुस्तक : पुश्तों का बयान (पृष्ठ 14)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : अंतिका प्रकाशन
संस्करण : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.