(माइकल एंजेलो की कलाकृति डेविड को समर्पित)
डेविड!
तुम्हारे बालों में रहस्य छुपे हैं
तुम्हारी भौंहों में विचार
तुम्हारी नज़र संदेह से देखती है
तुम्हारी नाक सुदृढ़ है
और होंठ ख़ामोश
मैंने तुम्हें देखा शनिवार की रात
जब निगाह तुम्हारी बग़ल की ओर थी
क्या सोच रहे हो डेविड?
क्या चलता रहता है तुम्हारे दिमाग़ में?
क्या छुपा है तुम्हारे घुँघराले बालों के नीचे?
तुम्हारी त्योरी क्यों चढ़ी हुई है?
कितनी मज़बूत है तुम्हारी नाक?
तुम्हारे होठों पर क्या लिखा है?
क्या मैं कभी पुरुषों को समझ पाऊँगी?
तुम ईश्वर के प्रिय हो
तुम राजा
तुम गड़रिया
तुम संगीतकार
शक्ति के पर्याय
तुम निर्भय
और मैं?
मेमना
वाद्य यंत्र
दुखी
पापिनी!
(maikal enjelo ki kalakriti DeviD ko samarpit)
DeviD!
tumhare balon mein rahasya chhupe hain
tumhari bhaun mein vichar
tumhari nazar sandeh se dekhti hai
tumhari naak sudriDh hai
aur honth khamosh
mainne tumhein dekha shanivar ki raat
jab nigah tumhari baghal ki or thi
kya soch rahe ho DeviD?
kya chalta rahta hai tumhare dimagh men?
kya chhupa hai tumhare ghunghrale balon ke niche?
tumhari tyori kyon chaDhi hui hain?
kitni mazbut hai tumhari naak?
tumhare hothon par kya likha hai?
kya main kabhi purushon ko samajh paungi?
tum iishvar ke priy ho
tum raja
tum gaDariya
tum sangitkar
shakti ke paryay
tum nirbhay
aur main?
memana
vadya yantr
dukhi
papini!
(maikal enjelo ki kalakriti DeviD ko samarpit)
DeviD!
tumhare balon mein rahasya chhupe hain
tumhari bhaun mein vichar
tumhari nazar sandeh se dekhti hai
tumhari naak sudriDh hai
aur honth khamosh
mainne tumhein dekha shanivar ki raat
jab nigah tumhari baghal ki or thi
kya soch rahe ho DeviD?
kya chalta rahta hai tumhare dimagh men?
kya chhupa hai tumhare ghunghrale balon ke niche?
tumhari tyori kyon chaDhi hui hain?
kitni mazbut hai tumhari naak?
tumhare hothon par kya likha hai?
kya main kabhi purushon ko samajh paungi?
tum iishvar ke priy ho
tum raja
tum gaDariya
tum sangitkar
shakti ke paryay
tum nirbhay
aur main?
memana
vadya yantr
dukhi
papini!
स्रोत :
रचनाकार : टोनी मोंगे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अनुवादक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.