मैंने भी चाहा
किसी रोज़ तुम्हारे काँधे पर लिखूँ कविता
बताऊँ तुम्हारे सीने से लग कैसी तो मादक गंध आती है
तुम्हारी आँखों में दिखते हैं दो द्वीप
होंठों पर होंठ रख देने की कामना जाग उठती है
तुम्हारे होने भर से महक जाती हैं साँसें
देखने से दहक उठता है मन
चाहा नई उपमा दूँ स्पर्श को
मस्तक को कहूँ पर्वत
भुजाओं को सर्प
दर्ज़ करूँ हथेलियों का ताप
स्त्री देह को सदियों से कविताओं में गढ़
कितने बड़े कवि हुए
कितने महान कवि
मैंने भी स्त्री कामना को शब्द दिए
तभी एक आलोचक बुदबुदाया
कलंकिनी
mainne bhi chaha
kisi roz tumhare kandhe par likhun kavita
bataun tumhare sine se lag kaisi to madak gandh aati hai
tumhari ankhon mein dikhte hain do dveep
honthon par honth rakh dene ki kamna jaag uthti hai
tumhare hone bhar se mahak jati hain sansen
dekhne se dahak uthta hai man
chaha nai upma doon sparsh ko
mastak ko kahun parvat
bhujaon ko sarp
darz karun hatheliyon ka taap
stri deh ko sadiyon se kavitaon mein gaDh
kitne baDe kavi hue
kitne mahan kavi
mainne bhi stri kamna ko shabd diye
tabhi ek alochak budabudaya
kalankini
mainne bhi chaha
kisi roz tumhare kandhe par likhun kavita
bataun tumhare sine se lag kaisi to madak gandh aati hai
tumhari ankhon mein dikhte hain do dveep
honthon par honth rakh dene ki kamna jaag uthti hai
tumhare hone bhar se mahak jati hain sansen
dekhne se dahak uthta hai man
chaha nai upma doon sparsh ko
mastak ko kahun parvat
bhujaon ko sarp
darz karun hatheliyon ka taap
stri deh ko sadiyon se kavitaon mein gaDh
kitne baDe kavi hue
kitne mahan kavi
mainne bhi stri kamna ko shabd diye
tabhi ek alochak budabudaya
kalankini
स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.