मेरा दिन होता है बड़ा बेहूदा और बदचलन,
क्योंकि पेट के लिए माँगता हूँ भीख एक भिखारी के सामने फैलाकर दामन,
और दान देता हूँ एक अमीर को उसकी ग़रीबी पर तरस खाकर।
मैं गुज़ारता हूँ सुई की आँख से सूर्य-किरण,
सोचता हूँ कुँजी एक चोर को जिसका उद्देश्य है धन-हरण,
और चढ़ाता हूँ कलई अपनी ग़रीबी पर एक रौनक़ की ख़ातिर।
भिखारी मुझे रोटी देने से इनकार कर देगा फ़ौरन,
अमीर आदमी स्वीकार नहीं करेगा मुझसे कोई धन,
और गुज़रेगी नहीं सूई की आँख से सूर्य-किरण आख़िर।
कुँजियों के बिना ही पैठ जाता है चोर,
बिखेरती है हृदयहीन लड़की आँसुओं के फ़व्वारे चारों ओर,
इस श्रीहीन और अर्थहीन दिन पर।
mera din hota hai baDa behuda aur badachlan,
kyonki pet ke liye mangta hoon bheekh ek bhikhari ke samne phailakar daman,
aur daan deta hoon ek amir ko uski gharibi par taras khakar.
main guzarta hoon sui ki ankh se surya kiran,
sochta hoon kunji ek chor ko jiska uddeshya hai dhan haran,
aur chaDhata hoon kalii apni gharibi par ek raunaq ki khatir.
bhikhari mujhe roti dene se inkaar kar dega fauran,
amir adami svikar nahin karega mujhse koi dhan,
aur guzregi nahin sui ki ankh se surya kiran akhir.
kunjiyon ke bina hi paith jata hai chor,
bikherti hai hridayhin laDki ansuon ke favvare charon or,
is shrihin aur arthahin din par.

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक रूसी कविताएँ-1 (पृष्ठ 78)
संपादक : नामवर सिंह
रचनाकार : मारीना त्स्वेतायेवा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.