ये जो देख रहे हो मेरी हथेली पर
इसे महज मिट्टी न समझना
न जाने किस हौसले से
जीवन की विषम घड़ियों में
इसे मुठ्ठी में कसकर
अटूट आत्मबल पाया है मैंने
इसने ही सोखी है अपने भीतर
निराश घड़ियों की सारी नमी
आक्रोश और निर्णय के कसाव में
इसे भींचा है मैंने
इतनी जोर से
कि इस पर अंकित हो गई हैं
मेरी हथेली की रेखाएँ
ये मेरा विद्रोह,
संघर्ष
और संकल्प है...
इसे महज मिट्टी न समझना!
ये साक्षी है उस घड़ी की,
जिसने मुझे ब्रह्म बना दिया
ब्रह्म—
जो रचयिता है,
जिसने मुझे रचा—
और यह आस्था
जिसे मैंने रचा
ठहरो, सुनो रचनाकार!
ये मेरे-तुम्हारे बीच की पहचान है
कि जो नश्वर है,
मिट्टी हो जाएगी—
तुम्हारी रचना है!
और जो मिट्टी पर रेखाएँ खींच दे,
कि जिस मिट्टी से जनमें
अटूट संघर्ष,
अमर आस्था—
मेरी रचना है!
ये एक चुनौती है सृष्टिकर्ता
हमारी सर्जना के बीच की
इसे महज मिट्टी न समझना।
ye jo dekh rahe ho meri hatheli par
ise mahaj mitti na samajhna
na jane kis hausale se
jivan ki visham ghaDiyon men
ise muththi mein kaskar
atut atmabal paya hai mainne
isne hi sokhi hai apne bhitar
nirash ghaDiyon ki sari nami
akrosh aur nirnay ke kasav mein
ise bhincha hai mainne
itni jor se
ki is par ankit ho gai hain
meri hatheli ki rekhayen
ye mera vidroh,
sangharsh
aur sankalp hai. . .
ise mahaj mitti na samajhna!
ye sakshi hai us ghaDi ki,
jisne mujhe brahm bana diya
brahm—
jo rachyita hai,
jisne mujhe racha—
aur ye astha
jise mainne racha
thahro, suno rachnakar!
ye mere tumhare beech ki pahchan hai
ki jo nashvar hai,
mitti ho jayegi—
tumhari rachna hai!
aur jo mitti par rekhayen kheench de,
ki jis mitti se janmen
atut sangharsh,
amar astha—
meri rachna hai!
ye ek chunauti hai srishtikarta
hamari sarjana ke beech ki
ise mahaj mitti na samajhna.
ye jo dekh rahe ho meri hatheli par
ise mahaj mitti na samajhna
na jane kis hausale se
jivan ki visham ghaDiyon men
ise muththi mein kaskar
atut atmabal paya hai mainne
isne hi sokhi hai apne bhitar
nirash ghaDiyon ki sari nami
akrosh aur nirnay ke kasav mein
ise bhincha hai mainne
itni jor se
ki is par ankit ho gai hain
meri hatheli ki rekhayen
ye mera vidroh,
sangharsh
aur sankalp hai. . .
ise mahaj mitti na samajhna!
ye sakshi hai us ghaDi ki,
jisne mujhe brahm bana diya
brahm—
jo rachyita hai,
jisne mujhe racha—
aur ye astha
jise mainne racha
thahro, suno rachnakar!
ye mere tumhare beech ki pahchan hai
ki jo nashvar hai,
mitti ho jayegi—
tumhari rachna hai!
aur jo mitti par rekhayen kheench de,
ki jis mitti se janmen
atut sangharsh,
amar astha—
meri rachna hai!
ye ek chunauti hai srishtikarta
hamari sarjana ke beech ki
ise mahaj mitti na samajhna.
स्रोत :
रचनाकार : अलका सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.