शादी कर तो लूँ
अगर कोई समझे
लड़के पता नहीं क्या सोचते हैं
लड़की पढ़ी-लिखी चाहिए
मगर आज्ञाकारी
उनकी हर बात बात है
हर बात अहँ का फुंदना
लड़की की बात भी कोई बात होती है
लड़कियों का अहँ घर बर्बाद कर देता है
सारे रीति-रिवाज़ लड़कियों के लिए हैं
लड़कों के लिए उन्हें लागू कराना
मैं थक चुकी हूँ
माँ की तरह ख़ुद को नहीं सिल सकती
अगर शादी ही मक़सद था
तो बचपन में हो जाती
किताबों की रोशनी न मिलती
तो अँधेरे में रह लेती
मैं वह नहीं हो सकती
जो नहीं हूँ
मैं सोचती समझती हूँ
मुझे समझने वाला जीवन साथी चाहिए।
shadi kar to loon
agar koi samjhe
laDke pata nahin kya sochte hain
laDki paDhi likhi chahiye
magar agyakari
unki har baat baat hai
har baat ahan ka phundna
laDki ki baat bhi koi baat hoti hai
laDakiyon ka ahan ghar barbad kar deta hai
sare riti rivaz laDakiyon ke liye hain
laDkon ke liye unhen lagu karana
main thak chuki hoon
maan ki tarah khud ko nahin sil sakti
agar shadi hi maqsad tha
to bachpan mein ho jati
kitabon ki roshni na milti
to andhere mein rah leti
main wo nahin ho sakti
jo nahin hoon
main sochti samajhti hoon
mujhe samajhne vala jivan sathi chahiye.
shadi kar to loon
agar koi samjhe
laDke pata nahin kya sochte hain
laDki paDhi likhi chahiye
magar agyakari
unki har baat baat hai
har baat ahan ka phundna
laDki ki baat bhi koi baat hoti hai
laDakiyon ka ahan ghar barbad kar deta hai
sare riti rivaz laDakiyon ke liye hain
laDkon ke liye unhen lagu karana
main thak chuki hoon
maan ki tarah khud ko nahin sil sakti
agar shadi hi maqsad tha
to bachpan mein ho jati
kitabon ki roshni na milti
to andhere mein rah leti
main wo nahin ho sakti
jo nahin hoon
main sochti samajhti hoon
mujhe samajhne vala jivan sathi chahiye.
स्रोत :
रचनाकार : संजीव कौशल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.