बड़े इंतजार के बाद
हुई है मौसम की यह पहली बरसात
बच रहा हूँ मैं फिर भी बूँदों से
दौड़ा-दौड़ा आया हूँ इस बूढ़े पेड़ के नीचे
दौड़ पड़ी हैं चीटियाँ तने पर
मुझसे भी तेज़
मौसम आ चुका है
हिफ़ाज़त ज़रूरी
लंबी-चौड़ी घर-गृहस्थी!
तड़ातड़ पड़ रही हैं बूँदें
हालाँकि सकुचा भी रही हैं
पहला स्पर्श!!
पत्तियाँ कुछ ज़्यादा ही मस्ती में हैं
नाच रही हैं
ख़ूब नहाएँगी
फिर धूप में सुखाएँगी बदन
डाली भी झूमी
पत्तियों के पीछे-पीछे
मानो नाच रही बच्चियों को देख
माँ को आया ख़ुद का बचपन याद
और फिर लगी नाचने
मैं उजबक-सा यही सब निहार
ख़ुश हो रहा था
बिन छतरी बच ही गया
मुदित मन घर की राह निकल ही रहा था
इसी पल—हाँ—इसी पल
बूढ़े पेड़ ने किया मज़ाक़
हिली डालियाँ
हँसी पत्तियाँ
हवा चली
बूँद-बूँद जमा किया था
जो पानी
काफ़ी हद तक मुझे भिगो गया।
baDe intjar ke baad
hui hai mausam ki ye pahli barsat
bach raha hoon main phir bhi bundon se
dauDa dauDa aaya hoon is buDhe peD ke niche
dauD paDi hain chitiyan tane par
mujhse bhi tez
mausam aa chuka hai
hifazat zaruri
lambi chauDi ghar grihasthi!
taDataD paD rahi hain bunden
halanki sakucha bhi rahi hain
pahla sparsh!!
pattiyan kuch zyada hi masti mein hain
nach rahi hain
khoob nahayengi
phir dhoop mein sukhayengi badan
Dali bhi jhumi
pattiyon ke pichhe pichhe
mano nach rahi bachchiyon ko dekh
man ko aaya khu ka bachpan yaad
aur phir lagi nachne
main ujbak sa yahi sab nihar
khush ho raha tha
bin chhatri bach hi gaya
mudit man ghar ki rah nikal hi raha tha
isi pal—han—isi pal
buDhe peD ne kiya mazaq
hili Daliyan
hansi pattiyan
hawa chali
boond boond jama kiya tha
jo pani
kafi had tak mujhe bhigo gaya
baDe intjar ke baad
hui hai mausam ki ye pahli barsat
bach raha hoon main phir bhi bundon se
dauDa dauDa aaya hoon is buDhe peD ke niche
dauD paDi hain chitiyan tane par
mujhse bhi tez
mausam aa chuka hai
hifazat zaruri
lambi chauDi ghar grihasthi!
taDataD paD rahi hain bunden
halanki sakucha bhi rahi hain
pahla sparsh!!
pattiyan kuch zyada hi masti mein hain
nach rahi hain
khoob nahayengi
phir dhoop mein sukhayengi badan
Dali bhi jhumi
pattiyon ke pichhe pichhe
mano nach rahi bachchiyon ko dekh
man ko aaya khu ka bachpan yaad
aur phir lagi nachne
main ujbak sa yahi sab nihar
khush ho raha tha
bin chhatri bach hi gaya
mudit man ghar ki rah nikal hi raha tha
isi pal—han—isi pal
buDhe peD ne kiya mazaq
hili Daliyan
hansi pattiyan
hawa chali
boond boond jama kiya tha
jo pani
kafi had tak mujhe bhigo gaya
स्रोत :
रचनाकार : हरि मृदुल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.