बिकी हुई क़लम के दाम बहुत होते हैं
पर बिकी हुई क़लम के काम भी तो बहुत होते हैं
बिकी हुई क़लम को कीचड़ को कमल कहना पड़ता है
बिकी हुई क़लम को क़ातिल को सनम कहना पड़ता है
बिकी हुई क़लम को मौक़े पर ख़ामोश रहना होता है
और बेमौक़े ‘सरकार की जय’ कहना होता है
बिकी हुई क़लम एक खूँटे से बंधी होती है
बिकी हुई क़लम की स्याही जमी होती है
बिकी हुई क़लम रोती नहीं, सिर्फ़ गाती है
बिकी हुई क़लम से सच की आवाज़ नहीं आती है
बिकी हुई क़लम शाहों के तख़्त नहीं हिला पाती है
बिकी हुई क़लम सिर्फ़ चरण-पादुका बन जाती है
बिकी हुई क़लम से आंधियाँ नहीं उठती हैं
बिकी हुई क़लम से सिर्फ़ लार टपकती है
बिकी हुई क़लम एक वेश्या होती है
जो अनचाहे जिस्मों को हँसके अपने जिस्म पे सहती है
बिकी हुई क़लम की कोख बंजर होती है
बिकी हुई क़लम अपनों ही की पीठ में घुसाया ख़ंजर होती है
बिकी हुई क़लम से लिखा इतिहास सिर्फ़ कालिख़-पुता काग़ज़-भर होता है
बिकी हुई क़लम का काँधा सिर्फ़ अपने शब्दों का जनाज़ा ढोता है
बिकी हुई क़लम और जो चाहे बन जाती है
पर बिकी हुई क़लम, क़लम होने का हक़ अदा नहीं कर पाती है
बिकी हुई क़लम बदल जाती है चरण-पादुका में
बिकी हुई क़लम सिर्फ़ क़लम ही नहीं रह पाती है
बिकी हुई क़लम सिर्फ़ क़लम नहीं रह पाती है...
biki hui qalam ke daam bahut hote hain
par biki hui qalam ke kaam bhi to bahut hote hain
biki hui qalam ko kichaD ko kamal kahna paDta hai
biki hui qalam ko qatil ko sanam kahna paDta hai
biki hui qalam ko mauqe par khamosh rahna hota hai
aur bemauqe ‘sarkar ki jay’ kahna hota hai
biki hui qalam ek khunte se bandhi hoti hai
biki hui qalam ki syahi jami hoti hai
biki hui qalam roti nahin, sirf gati hai
biki hui qalam se sach ki avaz nahin aati hai
biki hui qalam shahon ke takht nahin hila pati hai
biki hui qalam sirf charan paduka ban jati hai
biki hui qalam se andhiyan nahin uthti hain
biki hui qalam se sirf laar tapakti hai
biki hui qalam ek veshya hoti hai
jo anchahe jismon ko hansake apne jism pe sahti hai
biki hui qalam ki kokh banjar hoti hai
biki hui qalam apnon hi ki peeth mein ghusaya khanjar hoti hai
biki hui qalam se likha itihas sirf kalikh puta kaghaz bhar hota hai
biki hui qalam ka kandha sirf apne shabdon ka janaza Dhota hai
biki hui qalam aur jo chahe ban jati hai
par biki hui qalam, qalam hone ka haq ada nahin kar pati hai
biki hui qalam badal jati hai charan paduka mein
biki hui qalam sirf qalam hi nahin rah pati hai
biki hui qalam sirf qalam nahin rah pati hai. . .

स्रोत :
रचनाकार : दामिनी यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.