इन दिनों रास्ता भटक रही है भाषा
अब विरोध कहने पर विद्रोह सुनाई देता है
असहमति कहने पर अराजक
लोकतंत्र कहते ही होने लगती जोड़-तोड़
धर्म कहो सुनाई देता भय
अब तो सफ़ेद भी सफ़ेद नहीं रहा
और लाल भी हो गया नीला
यहाँ तक कि अँधेरे समय को बताया जा रहा है सुनहरा
ऐसे भ्रमित समय में
मैं शब्दों को उनके सही अर्थ में पिरोकर देखना चाहती हूँ
सोचती हूँ शहद हर्फ़ उठाकर उड़ेल दूँ शहद की बोतल में
तुम्हारे नमकीन चेहरे पर मल दूँ नमक का नाम
आँसू को चखा दूँ खारा समंदर
रोशनी को रख दूँ मोमबत्ती की लौ पर
मैं इंसाफ़ बाँट आना चाहती हूँ गली के आख़िरी छोर तक
और बचपन लिखने की बजाए
बिखेर देना चाहती हूँ अख़बार बेचते बच्चों के बीच
सपने टूटने से पहले
सजा देना चाहती हूँ आँखों में
और प्यार को इश्तिहारों से उठा
मन में महफ़ूज़ रखना चाहती हूँ
मैं भटकी हुई भाषा को उसके घर पहुँचाना चाहती हूँ
in dinon rasta bhatak rahi hai bhasha
ab virodh kahne par vidroh sunai deta hai
ashamti kahne par arajak
loktantr kahte hi hone lagti joD toD
dharm kaho sunai deta bhay
ab to safed bhi safed nahin raha
aur laal bhi ho gaya nila
yahan tak ki andhere samay ko bataya ja raha hai sunahra
aise bhramit samay men
main shabdon ko unke sahi arth mein pirokar dekhana chahti hoon
sochti hoon shahd harf uthakar uDel doon shahd ki botal men
tumhare namkin chehre par mal doon namak ka naam
ansu ko chakha doon khara samandar
roshni ko rakh doon mombatti ki lau par
main insaaf baant aana chahti hoon gali ke akhiri chhor tak
aur bachpan likhne ki bajaye
bikher dena chahti hoon akhbar bechte bachchon ke beech
sapne tutne se pahle
saja dena chahti hoon ankhon men
aur pyaar ko ishtiharon se utha
man mein mahfuz rakhna chahti hoon
main bhatki hui bhasha ko uske ghar pahunchana chahti hoon

स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.