काले बादल घुमड़ कर आ रहे हैं
सागर के तट अभी तक दिखते थे, अब छिपे जा रहे हैं
आँधी जंगल में तालाब का सुरमई पानी
उधेड़ कर रख दे रही है
धरती पर भागते हिरन के पाँव के निशान
और बीच-बीच में ख़ून के दाग़
ख़ामोशी दिमाग़ का कवच चकनाचूर कर दे रही है
शरद की निथरी दृष्टि के आगे वह नंगा खड़ा रह जाता है।
बारूदी सुरंग पकड़ने के यंत्र की सुई
दाएँ-बाएँ निरंतर वही पुरानी चाल चलती जाती है।
बिना अभिप्राय के शब्द हम दोनों के बीच
लगातार उछाले जाते रहते हैं।
भूली हुई साज़िशें फिर से अपना मकड़जाल
हमारे हाथों पर मढ़ देती हैं।
एक विदूषक का मुखौटा पहने हुए मेरे दिमाग़ का
दम घुटता है।
सूख कर वह चरमरा गया है
और झरता जाता है मेरा दिमाग़।
kale badal ghumaD kar aa rahe hain
sagar ke tat abhi tak dikhte the, ab chhipe ja rahe hain
andhi jangal mein talab ka suramii pani
udheD kar rakh de rahi hai
dharti par bhagte hiran ke paanv ke nishan
aur beech beech mein khoon ke daagh
khamoshi dimagh ka kavach chaknachur kar de rahi hai
sharad ki nithri drishti ke aage wo nanga khaDa rah jata hai.
barudi surang pakaDne ke yantr ki sui
dayen bayen nirantar vahi purani chaal chalti jati hai.
bina abhipray ke shabd hum donon ke beech
lagatar uchhale jate rahte hain.
bhuli hui sazishen phir se apna makaDjal
hamare hathon par maDh deti hain.
ek vidushak ka mukhauta pahne hue mere dimagh ka
dam ghutta hai.
sookh kar wo charmara gaya hai
aur jharta jata hai mera dimagh.

स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 232)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : डाग हामरशुल्ड
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.