जब ईश्वर-अल्लाह और ख़ुद पर नहीं रहा भरोसा
एक पैंतीस साल का पिता
पाँच साल के बेटे साथ हाथ फैलाता है
हर किसी से कहता है बच्चे को भूख लगी है
बेटा अपनी मासूमों निगाहों से कभी पिता को
कभी लोगों के चेहरों को देखता है
वे दोनों किसी कुछ न देने पर निराश नहीं होते
किसी के देने पर ‘भगवान भला करे’
जैसा कोई आशीर्वाद नहीं देते
यहीं सड़क किनारे सरकारी ज़मीन पर है उनका बसेरा
जो बचा हुआ है
सरकारी आदेश की लेट-लतीफ़ी की वजह से
यहीं खुल गई है एक सरकारी रसोई
और एक सेठ का शराबख़ाना
शाम होते ही बहुत से पिता आते हैं शराब की दुकान पर
या उसके हमउम्र युवा जिन्हें अभी भरोसा है ख़ुद पर
बेटा चुपचाप हाथ फैलाता है
कुछ को याद आती है अपने बच्चों की
कुछ अपनी मजबूर शक्ल देख लेते है बच्चे के पिता में
और उसे देते हैं दस-बीस रुपए
इसे ख़ुशी कहा जाए या मजबूरी
यह बेटे के लिए अलग बात है
और पिता के लिए बिल्कुल अलग बात
jab iishvar allah aur khud par nahin raha bharosa
ek paintis saal ka pita
paanch saal ke bete saath haath phailata hai
har kisi se kahta hai bachche ko bhookh lagi hai
beta apni masumon nigahon se kabhi pita ko
kabhi logon ke chehron ko dekhta hai
ve donon kisi kuch na dene par nirash nahin hote
kisi ke dene par ‘bhagvan bhala kare’
jaisa koi ashirvad nahin dete
yahin saDak kinare sarkari zamin par hai unka basera
jo bacha hua hai
sarkari adesh ki let latifi ki vajah se
yahin khul gai hai ek sarkari rasoi
aur ek seth ka sharabkhana
shaam hote hi bahut se pita aate hain sharab ki dukan par
ya uske hamumr yuva jinhen abhi bharosa hai khud par
beta chupchap haath phailata hai
kuch ko yaad aati hai apne bachchon ki
kuch apni majbur shakl dekh lete hai bachche ke pita men
aur use dete hain das bees rupe
ise khushi kaha jaye ya majburi
ye bete ke liye alag baat hai
aur pita ke liye bilkul alag baat

स्रोत :
रचनाकार : अमर दलपुरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.