‘‘मैं जानती हूँ—इसने अपराध किया है, पर यह मेरा पुत्र है! एक माँ की पीड़ा समझ पुत्री, इसे क्षमा कर दे। देख न उसके साथ उसकी पत्नी और दस वर्ष की पुत्री है। उसका संसार न बिगाड़ पुत्री उसे क्षमा कर।’’
दो स्त्री मिलकर उस आदमी को बख़्श देती हैं।
…वह आदमी स्त्री-विमर्श वाली एक सभा में कार्यक्रम के समापन के बाद दो- चार पैग पीने के बाद कहता है, ‘‘धूर! सब बकवास है। स्त्री ही स्त्री की दुश्मन है। विचार-विमर्श बेकार है।’’
chhathi indri ke gyaan se
stri bhaanp leti hai
har ‘chhuan’ ki mansha ko
chhune vala use dhire dhire chhuta hai
wo intizar karta hai
ki bas kab break lagayegi
aur tab wo use
zor se chhu payega
use bhay nahin hai
kyonki wo paDha likha hai
wo ‘jaDta’ se parichit hai
usne angrezi mein bhi
iski paribhasha rati hui hai
us stri ko krodh aata hai
wo chahti hai use shaap dena
par adami aur uske beech
ankhon mein patti bandhe shiv bhaktini
gandhari aa jati hain aur kahti hain—
‘‘main janti hun—isne apradh kiya hai, par ye mera putr hai! ek maan ki piDa samajh putri, ise kshama kar de. dekh na uske saath uski patni aur das varsh ki putri hai. uska sansar na bigaD putri use kshama kar. ’’
do stri milkar us adami ko bakhsh deti hain.
…vah adami stri vimarsh vali ek sabha mein karyakram ke samapan ke baad do chaar paig pine ke baad kahta hai, ‘‘dhoor! sab bakvas hai. stri hi stri ki dushman hai. vichar vimarsh bekar hai. ’’

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।