सफ़र में ये होता है हैराँ नहीं हूँ
थका हूँ मगर मैं परीशाँ नहीं हूँ
अगर ज़िंदगी है तो ख़तरे भी होंगे
मगर डरने वाला मैं इन्साँ नहीं हूँ
समय के मुताबिक तो चलना ही पड़ता
बदलता हूँ, हर पल मैं यक्साँ नहीं हूँ
भरोसा तो करिए वफ़ादार हूँ, पर
मुझे लूट लो, मैं वो सामाँ नहीं हूँ
ढले शाम हो जाए जिसका शटर बंद
मुहब्बत की कोई मैं दूकाँ नहीं हूँ
समझता हूँ मैं क्या वहाँ चल रहा है
मैं भोला हूँ, लेकिन मैं नादां नहीं हूँ
भले चार पल की है यह ज़िंदगानी
मैं मालिक हूँ तब तक, मैं मेहमाँ नहीं हूँ
safar mein ye hota hai hairan nahin hoon
thaka hoon magar main parishan nahin hoon
agar zindagi hai to khatre bhi honge
magar Darne vala main insaan nahin hoon
samay ke mutabik to chalna hi paDta
badalta hoon, har pal main yaksan nahin hoon
bharosa to kariye vafadar hoon, par
mujhe loot lo, main wo saman nahin hoon
Dhale shaam ho jaye jiska shatar band
muhabbat ki koi main dukan nahin hoon
samajhta hoon main kya vahan chal raha hai
main bhola hoon, lekin main nadan nahin hoon
bhale chaar pal ki hai ye zindgani
main malik hoon tab tak, main mehaman nahin hoon
safar mein ye hota hai hairan nahin hoon
thaka hoon magar main parishan nahin hoon
agar zindagi hai to khatre bhi honge
magar Darne vala main insaan nahin hoon
samay ke mutabik to chalna hi paDta
badalta hoon, har pal main yaksan nahin hoon
bharosa to kariye vafadar hoon, par
mujhe loot lo, main wo saman nahin hoon
Dhale shaam ho jaye jiska shatar band
muhabbat ki koi main dukan nahin hoon
samajhta hoon main kya vahan chal raha hai
main bhola hoon, lekin main nadan nahin hoon
bhale chaar pal ki hai ye zindgani
main malik hoon tab tak, main mehaman nahin hoon
स्रोत :
रचनाकार : डी. एम. मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.