हवा ख़िलाफ़ है लेकिन दिए जलाता हूँ
हज़ार मुश्किलें हैं फिर भी मुस्कराता हूँ
मेरे जज़्बे को आँधियाँ सलाम करती हैं
इक दिया बुझ गया तो दूसरा जलाता हूँ
मेरी दीवानगी का हाल मुझसे मत पूछो
बुझे न प्यास तो शोलों से लिपट जाता हूँ
ज़माना लाख़ है दुश्मन कोई परवाह नहीं
किया है प्यार तो फिर अंत तक निभाता हूँ
ख़़ु़शी मनाइए यारों कि सफ़र ज़ारी है
ग़म नहीं है कि हर क़दम पे चोट खाता हूँ
खुली क़िताब की मानिंद ज़िंदगी मेरी
कोई पर्दा नहीं है कुछ नहीं छुपाता हूँ
अनेक शेर मेरे ज़ाया हो गए फिर भी
रदीफ़, क़ाफ़िया, बहरो वज़न निभाता हूँ
न मैं कबीर, न ग़ालिब, न मीर, मोमिन ही
मिला जो ज़ख़्म ज़माने से वही गाता हूँ
hava khilaf hai lekin diye jalata hoon
hazar mushkilen hain phir bhi muskrata hoon
mere jazbe ko andhiyan salam karti hain
ik diya bujh gaya to dusra jalata hoon
meri divangi ka haal mujhse mat puchho
bujhe na pyaas to sholon se lipat jata hoon
zamana laakh hai dushman koi parvah nahin
kiya hai pyaar to phir ant tak nibhata hoon
khushi manaiye yaron ki safar zari hai
gham nahin hai ki har qadam pe chot khata hoon
khuli qitab ki manind zindagi meri
koi parda nahin hai kuch nahin chhupata hoon
anek sher mere zaya ho ge phir bhi
radif, qafiya, bahro vazan nibhata hoon
na main kabir, na ghalib, na meer, momin hi
mila jo zakhm zamane se vahi gata hoon
hava khilaf hai lekin diye jalata hoon
hazar mushkilen hain phir bhi muskrata hoon
mere jazbe ko andhiyan salam karti hain
ik diya bujh gaya to dusra jalata hoon
meri divangi ka haal mujhse mat puchho
bujhe na pyaas to sholon se lipat jata hoon
zamana laakh hai dushman koi parvah nahin
kiya hai pyaar to phir ant tak nibhata hoon
khushi manaiye yaron ki safar zari hai
gham nahin hai ki har qadam pe chot khata hoon
khuli qitab ki manind zindagi meri
koi parda nahin hai kuch nahin chhupata hoon
anek sher mere zaya ho ge phir bhi
radif, qafiya, bahro vazan nibhata hoon
na main kabir, na ghalib, na meer, momin hi
mila jo zakhm zamane se vahi gata hoon
स्रोत :
रचनाकार : डी. एम. मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.