अँधेरा जब मुक़द्दर बन के घर में बैठ जाता है
मेरे कमरे का रोशनदान तब भी जगमगाता है
किया जो फ़ैसला मुंसिफ़ ने वो बिल्कुल सही लेकिन
ख़ुदा का फ़ैसला हर फ़ैसले के बाद आता है
अगर मर्ज़ी न हो उसकी तो कुछ हासिल नहीं होता
किनारे पर लगे कश्ती तो साहिल डूब जाता है
खिलौने का मुक़द्दर है यही तो क्या करे कोई
नहीं खेलें तो सड़ जाए, जो खेलें टूट जाता है
ख़ुदा ने जो बनाया है ज़रूरी ही बनाया है
कभी ज़र्रा, कभी पर्वत हमारे काम आता है
यही विश्वास लेकर घर से अपने मैं निकल आया
अँधेरे जंगलों में रास्ता जुगनू दिखाता है
andhera jab muqaddar ban ke ghar mein baith jata hai
mere kamre ka roshandan tab bhi jagmagata hai
kiya jo faisla munsif ne wo bilkul sahi lekin
khuda ka faisla har faisle ke baad aata hai
agar marzi na ho uski to kuch hasil nahin hota
kinare par lage kashti to sahil Doob jata hai
khilaune ka muqaddar hai yahi to kya kare koi
nahin khelen to saD jaye, jo khelen toot jata hai
khuda ne jo banaya hai zaruri hi banaya hai
kabhi zarra, kabhi parvat hamare kaam aata hai
yahi vishvas lekar ghar se apne main nikal aaya
andhere janglon mein rasta jugnu dikhata hai

स्रोत :
रचनाकार : डी. एम. मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.