उत्तरों की खोज में जो है अहर्निश
प्रश्न क्या है यह न उनको याद आया
बेवजह भाषा उबलती जा रही है
और सब आशय अकारण खो रहे हैं
यों किसी ने रोग पहचाना नही है
हाँ मगर, उपचार सारे हो रहे हैं।
एक मन की बात दूजे तक न पहुँची
फिर नहीं उस पार से संवाद आया॥
आज तक जो लग रही ढाँढस बँधाती
प्राण में गहरे अनिश्चय बो गई जब
उत्तरों की खोज करती एक भाषा
एक पल में प्रश्नवाचक हो गई जब
प्रश्न के प्रतिप्रश्न क्षण में थे उपस्थित
प्रश्न का उत्तर महीनों बाद आया॥
एक ऐसी सभ्यता हैं हम कि जिसने
प्यास खोजी थी मगर बादल न खोजा
प्रश्न के उलझाव ने इतना डराया
प्रश्न पर ठिठके मगर कुछ हल न खोजा
मूल में क्या था नहीं हम जान पाए
हाथ जो आया, महज अनुवाद आया॥
uttron ki khoj mein jo hai aharnish
parashn kya hai ye na unko yaad aaya
bevajah bhasha ubalti ja rahi hai
aur sab ashay akaran kho rahe hain
yon kisi ne rog pahchana nahi hai
haan magar, upchaar sare ho rahe hain.
ek man ki baat duje tak na pahunchi
phir nahin us paar se sanvad aaya॥
aaj tak jo lag rahi DhanDhas bandhati
praan mein gahre anishchay bo gai jab
uttron ki khoj karti ek bhasha
ek pal mein prashnavachak ho gai jab
parashn ke pratiprashn kshan mein the upasthit
parashn ka uttar mahinon baad aaya॥
ek aisi sabhyata hain hum ki jisne
pyaas khoji thi magar badal na khoja
parashn ke uljhaav ne itna Daraya
parashn par thithke magar kuch hal na khoja
mool mein kya tha nahin hum jaan pae
haath jo aaya, mahaj anuvad aaya॥
uttron ki khoj mein jo hai aharnish
parashn kya hai ye na unko yaad aaya
bevajah bhasha ubalti ja rahi hai
aur sab ashay akaran kho rahe hain
yon kisi ne rog pahchana nahi hai
haan magar, upchaar sare ho rahe hain.
ek man ki baat duje tak na pahunchi
phir nahin us paar se sanvad aaya॥
aaj tak jo lag rahi DhanDhas bandhati
praan mein gahre anishchay bo gai jab
uttron ki khoj karti ek bhasha
ek pal mein prashnavachak ho gai jab
parashn ke pratiprashn kshan mein the upasthit
parashn ka uttar mahinon baad aaya॥
ek aisi sabhyata hain hum ki jisne
pyaas khoji thi magar badal na khoja
parashn ke uljhaav ne itna Daraya
parashn par thithke magar kuch hal na khoja
mool mein kya tha nahin hum jaan pae
haath jo aaya, mahaj anuvad aaya॥
स्रोत :
रचनाकार : चित्रांश वाघमारे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.