हे! मनस्वी मानवी,
अवबोध का आह्वान लाओ।
तुम नवल उत्थान लाओ!
रज सने पग धर गए वो थान देवालय बनाया।
राजमहलों में न सुख वनवास में एश्वर्य पाया।
तुम 'उपेक्षा' को 'अपेक्षा' में बदलना जानती हो।
हाय! फिर भी बन 'दया का पात्र' जीना चाहती हो।
पूज्य, विदुषी-वामिनी,
अभिनत्व का अवसान लाओ।
तुम नवल उत्थान लाओ!
सोचती हो? मूकदर्शक, ये तुम्हें सहयोग देंगे।
रक्त की अंतिम तुम्हारी बूंद भी वे सोख लेंगे।
बिन कहे कब स्वत्व पाया? माँगना पड़ता यहाँ है।
रो न दे शिशु पूर्व इसके क्षीर भी मिलता कहाँ है!
अब उठो! तेजस्विनी,
स्वयमेव का सम्मान लाओ।
तुम नवल उत्थान लाओ!
भावनी, भव्या, भवानी के हृदय में भय बसेंगे?
चक्षुओं में दीप जिनके क्या उन्हें ये तम डसेंगे?
काल के कटु पृष्ठ पर सम्भावनाएँ जोड़नी हैं।
तुम वही जिसको समूची वर्जनाएँ तोड़नी हैं।
तमसो मा ज्योतिर्गमय का,
हर्षमय जय-गान लाओ।
तुम नवल उत्थान लाओ!
he! manasvi manavi,
avbodh ka ahvan lao.
tum naval utthaan lao!
raj sane pag dhar ge wo thaan devalay banaya.
rajamahlon mein na sukh vanvas mein eshvarya paya.
tum upeksha ko apeksha mein badalna janti ho.
haay! phir bhi ban daya ka paatr jina chahti ho.
pujya, vidushi vamini,
abhinatv ka avsan lao.
tum naval utthaan lao!
sochti ho? mukdarshak, ye tumhein sahyog denge.
rakt ki antim tumhari boond bhi ve sokh lenge.
bin kahe kab svatv paya? mangna paDta yahan hai.
ro na de shishu poorv iske ksheer bhi milta kahan hai!
ab utho! tejasvini,
svaymev ka samman lao.
tum naval utthaan lao!
bhavni, bhavya, bhavani ke hriday mein bhay basenge?
chakshuon mein deep jinke kya unhen ye tam Dasenge?
kaal ke katu prishth par sambhavnayen joDni hain.
tum vahi jisko samuchi varjnayen toDni hain.
tamso ma jyotirgmay ka,
harshmay jay gaan lao.

स्रोत :
रचनाकार : इति शिवहरे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.