मैं यहाँ एकांत में
जब तुम्हारी प्रतीक्षा ख़त्म होने का इंतिज़ार कर रही हूँ
मेरे दीवार पर दो छिपकलियाँ एक दूसरे का पीछा करती
धीरे-धीरे कसती जा रही हैं एक दूसरे को
खिड़की के पीछे शीशे से दिखते दो कबूतर
जैसे खींच लेना चाहते हैं एक दूसरे की नाज़ुक जीभ
जब मेरी आँखें क़ैद हैं इस दीवार में
और खिड़की तक का ही दृश्य देखने में सक्षम हैं
तुम्हीं बताओ,
भला! मैं अपनी आँखें कहाँ टाँग दूँ
मैं तुम्हारी प्रतीक्षा में
इस बंद कमरे में दहक रही हूँ सिगार की आग-सी
मैं अपना घर फूँक भेंटना चाहती हूँ तुम्हें
तुम मुझे आमंत्रित नहीं करोगे
कि हम साथ-साथ डाल सकें इस दहकती आग में
अपनी हविषा
क्या नहीं स्वीकार करना चाहोगे मेरा आतिथ्य
मैं रात्रि के किसी पहर में मिलना चाहती हूँ तुमसे
तुम मेरे लिए अपने मध्य कक्ष में
रसभरियाँ नहीं सजाओगे?
मैं छिपकलियों सरीखी
किसी रपटीली प्रजाति में बदल जाना चाहती हूँ
यह औरत होने से अधिक सुखदायी है
main yahan ekant mein
jab tumhari pratiksha khatm hone ka intizar kar rahi hoon
mere diwar par do chhipkiliyan ek dusre ka pichha karti
dhire dhire kasti ja rahi hain ek dusre ko
khiDki ke pichhe shishe se dikhte do kabutar
jaise kheench lena chahte hain ek dusre ki nazuk jeebh
jab meri ankhen qaid hain is diwar mein
aur khiDki tak ka hi drishya dekhne mein saksham hain
tumhin batao,
bhala! main apni ankhen kahan tang doon
main tumhari pratiksha mein
is band kamre mein dahak rahi hoon cigar ki aag si
main apna ghar phoonk bhentna chahti hoon tumhein
tum mujhe amantrit nahin karoge
ki hum sath sath Dal saken is dahakti aag mein
apni hawisha
kya nahin swikar karna chahoge mera atithy
main ratri ke kisi pahar mein milna chahti hoon tumse
tum mere liye apne madhya kaksh mein
rasabhariyan nahin sajaoge?
main chhipakaliyon sarikhi
kisi raptili prajati mein badal jana chahti hoon
ye aurat hone se adhik sukhdayi hai

स्रोत :
रचनाकार : अनुपम सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.