हवा गिरा देती है गुस्से में बड़े-बड़े पेड़
उड़ा ले जाती है छप्पर
उखाड़ देती है साँसें
मंद-मंद बहती हवा में
घुल जाती है फूलों की ख़ुशबू
पत्ते चूमते हैं एक-दूसरे का मुख
चाँद-सी टँगी रहती है
आसमान में बच्चे की पतंग
हवा के एक झोंके में
अल्हड़ लड़की के दुप्पटा-सा
लहराता उठता है धान का खेत
हवा में उड़ते रहते हैं पानी से सराबोर
रूई के फाहे-से मुलायम बादल
अचानक चूँ पड़ने को धरती की सूखी छाती पर
फ़र्श पर गिरे बच्चे के हाथ से
खाली बर्तन की झनझनाहट
दूर तक जाती है हवा में
हवा दौडी है जब हमारी साँसों में
और रगों में
मृत होती सभ्यता को बिखेर देती है पीले पत्ते-सा।
hava gira deti hai gusse mein baDe baDe peD
uDa le jati hai chhappar
ukhaaD deti hai sansen
mand mand bahti hava men
ghul jati hai phulon ki khushbu
patte chumte hain ek dusre ka mukh
chaand si tangi rahti hai
asman mein bachche ki patang
hava ke ek jhonke men
alhaD laDki ke duppta sa
lahrata uthta hai dhaan ka khet
hava mein uDte rahte hain pani se sarabor
rui ke phahe se mulayam badal
achanak choon paDne ko dharti ki sukhi chhati par
farsh par gire bachche ke haath se
khali bartan ki jhanajhnahat
door tak jati hai hava men
hava dauDi hai jab hamari sanson men
aur ragon men
mrit hoti sabhyata ko bikher deti hai pile patte sa.
hava gira deti hai gusse mein baDe baDe peD
uDa le jati hai chhappar
ukhaaD deti hai sansen
mand mand bahti hava men
ghul jati hai phulon ki khushbu
patte chumte hain ek dusre ka mukh
chaand si tangi rahti hai
asman mein bachche ki patang
hava ke ek jhonke men
alhaD laDki ke duppta sa
lahrata uthta hai dhaan ka khet
hava mein uDte rahte hain pani se sarabor
rui ke phahe se mulayam badal
achanak choon paDne ko dharti ki sukhi chhati par
farsh par gire bachche ke haath se
khali bartan ki jhanajhnahat
door tak jati hai hava men
hava dauDi hai jab hamari sanson men
aur ragon men
mrit hoti sabhyata ko bikher deti hai pile patte sa.
स्रोत :
रचनाकार : रमेश प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.