ग्रीष्म से आकुल सबसे ज़्यादा
मनुष्य ही रहा
ताप न झेला गया तो
पहले छाँव तलाशी
फिर पूरे जड़ से ही छाँव उखाड़ ली
विटप मौन में
अपनी हत्या के
मूक साक्षी बने रहे
शीत से व्यग्र सबसे ज़्यादा
मनुष्य ही रहा
ठिठुरन पीड़ापूर्ण लगी तो
पहले आग खोजी
फिर पूरी तत्परता से सब जलाकर ताप गया
जिन पशुओं के आलिंगन में रात बिताई
सुबह उनकी ही खाल उधेड़कर ओढ़ने लगा
चौमास से उद्विग्न सबसे ज़्यादा
मनुष्य ही रहा
जिन वृष्टियों पर नियंत्रण नहीं रहा
उन्हें नकार दिया
बाँध बनाए और धारें मोड़ीं
गड्ढे खोदकर उनमें सीमेंट भरने वाला भी
मनुष्य ही रहा
और
मनुष्यता के चीथड़े उड़ाने वाला भी
मनुष्य ही
मनुष्य ने मनुष्य बनना ही सीखा
न कभी पेड़ बन पाया
न नदी
न मौसम
न पशु।
greeshm se aakul sabse zyada
manushya hi raha
tap na jhela gaya to
pahle chhanw talashi
phir pure jaD se hi chhanw ukhaD li
witap maun mein
apni hattya ke
mook sakshi bane rahe
sheet se wyagr sabse zyada
manushya hi raha
thithuran piDapurn lagi to
pahle aag khoji
phir puri tatparta se sab jalakar tap gaya
jin pashuon ke alingan mein raat bitai
subah unki hi khaal udheDkar oDhne laga
chaumas se udwign sabse zyada
manushya hi raha
jin wrishtiyon par niyantran nahin raha
unhen nakar diya
bandh banaye aur dharen moDin
gaDDhe khodkar unmen siment bharne wala bhi
manushya hi raha
aur
manushyata ke chithDe uDane wala bhi
manushya hi
manushya ne manushya banna hi sikha
na kabhi peD ban paya
na nadi
na mausam
na pashu
greeshm se aakul sabse zyada
manushya hi raha
tap na jhela gaya to
pahle chhanw talashi
phir pure jaD se hi chhanw ukhaD li
witap maun mein
apni hattya ke
mook sakshi bane rahe
sheet se wyagr sabse zyada
manushya hi raha
thithuran piDapurn lagi to
pahle aag khoji
phir puri tatparta se sab jalakar tap gaya
jin pashuon ke alingan mein raat bitai
subah unki hi khaal udheDkar oDhne laga
chaumas se udwign sabse zyada
manushya hi raha
jin wrishtiyon par niyantran nahin raha
unhen nakar diya
bandh banaye aur dharen moDin
gaDDhe khodkar unmen siment bharne wala bhi
manushya hi raha
aur
manushyata ke chithDe uDane wala bhi
manushya hi
manushya ne manushya banna hi sikha
na kabhi peD ban paya
na nadi
na mausam
na pashu
स्रोत :
रचनाकार : आदर्श भूषण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.