खेतों में बालियों का महीनों
सूर्य की ओर मुँह कर खड़ा रहना
तपस्या करने जैसा है
उसका धीरे-धीरे पक जाना है
तप कर सोना बन जाने जैसा।
चोकर का गेहूँ से अलग हो जाना
किसी ऋषि का अपनी त्वचा को
दान कर देने जैसा है।
जलते चूल्हे में रोटी का सिंकना
गेहूँ की अंत्येष्टि जैसा है
रोटी के टुकड़े को अपने मुँह में एकसार कर
उसे उदर तक तैरा देना
गेहूँ का गंगा में अस्थि विसर्जन जैसा है।
इस तरह
तुम्हारे भूख को मिटा देने की ताक़त
वह वरदान है
जिसे गेहूँ ने एक पाँव पर
छह महीना धूप में खडे़ होकर
तप से अर्जित किया था सूर्य से।
भूख से
तुम्हारी बिलबिलाहट का ख़त्म हो जाना
गेहूँ का मोक्ष है।
इस पूरी प्रक्रिया में कोई शोर नहीं हैं
कोई आवाज़ नहीं हैं
शांत हो तिरोहित हो जाना
मोक्ष का एक अनिवार्य अवयव है।
मैं बहुत वाचाल हूँ
बिना चपर-चपर की आवाज़ निकाले
एक रोटी तक नहीं खा सकता।
kheton mein baliyon ka mahinon
surya ki or munh kar khaDa rahna
tapasya karne jaisa hai
uska dhire dhire pak jana hai
tap kar sona ban jane jaisa
chokar ka gehun se alag ho jana
kisi rishi ka apni twacha ko
dan kar dene jaisa hai
jalte chulhe mein roti ka sinkna
gehun ki antyeshti jaisa hai
roti ke tukDe ko apne munh mein eksar kar
use udar tak taira dena
gehun ka ganga mein asthi wisarjan jaisa hai
is tarah
tumhare bhookh ko mita dene ki taqat
wo wardan hai
jise gehun ne ek panw par
chhah mahina dhoop mein khaDe hokar
tap se arjit kiya tha surya se
bhookh se
tumhari bilbilahat ka khatm ho jana
gehun ka moksh hai
is puri prakriya mein koi shor nahin hain
koi awaz nahin hain
shant ho tirohit ho jana
moksh ka ek aniwary awyaw hai
main bahut wachal hoon
bina chapar chapar ki awaz nikale
ek roti tak nahin kha sakta
kheton mein baliyon ka mahinon
surya ki or munh kar khaDa rahna
tapasya karne jaisa hai
uska dhire dhire pak jana hai
tap kar sona ban jane jaisa
chokar ka gehun se alag ho jana
kisi rishi ka apni twacha ko
dan kar dene jaisa hai
jalte chulhe mein roti ka sinkna
gehun ki antyeshti jaisa hai
roti ke tukDe ko apne munh mein eksar kar
use udar tak taira dena
gehun ka ganga mein asthi wisarjan jaisa hai
is tarah
tumhare bhookh ko mita dene ki taqat
wo wardan hai
jise gehun ne ek panw par
chhah mahina dhoop mein khaDe hokar
tap se arjit kiya tha surya se
bhookh se
tumhari bilbilahat ka khatm ho jana
gehun ka moksh hai
is puri prakriya mein koi shor nahin hain
koi awaz nahin hain
shant ho tirohit ho jana
moksh ka ek aniwary awyaw hai
main bahut wachal hoon
bina chapar chapar ki awaz nikale
ek roti tak nahin kha sakta
स्रोत :
रचनाकार : अखिलेश श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.